yun to zindagi me gam kayi hai,
Haste hue chehre hai,
par aankhe nam kayi hai;
Har roz chaurahe par aate jaate dekha hai,
insaan ek bhi nahin,
haan shaksh kayi hai.
Dil ke kono me chupe hue raaz na kholne ko kaho,
unhe sametne ke liye,
sagar ki gehrai kam kahin hai;
Jung ek hoti hai har shaam 'o' seher inki,
kabhi aansun to kabhi hasin,
waqt kam nahin hai.
jab kehte hai kuch,
to ishaaro se hain samjhate,
na kaho to kehte hain ki dum nahin hai;
har lamha ghut kar nayi saans ka hota hai intezaar,
thi jiski chahat wo aage,
hum wahin hai.
theher kar waqt ko bhi rok lena,
aadat thi hamari,
ab to yun lagta hai ki hum, hum nahin hai;
burai aur bhalai ke fasle bhul baithe,
kyan karein? alfaz ek,
mayne kayi hai.
kyon na kare shikayat,
kaha tha kabhi khud se,
samajh aaya dil tha galat aur hum sahi hai;
mat bhulna ki bhul jaane ki bhul na ho saki humse,
yaadon me base pal,
bas pal wahi hai.
ab to yun lagta haio ki hum hum nahin hai...